Wednesday, July 30, 2008

Crap life

khoya hai chand kyun badlon ke peeche
ki meri zindaggi mai andhera cha raha hai
koi anjana sa taaar mujhe pashopesh mai kheenche
ki mujhe na aadi na ant nazar aa raha hai

lubhati thi mujhko hamesha baharo ki khushbu
aaj koi baag na nazar aa raha hai
Tha mera saya us ek sahare ke rubaru
aaj uska saath mujhse door jaa raha hai

khoya hun tanha is soone registaan mai
ki ye ret ka teela jaane kahan ja raha hai
akela hunn pareshan is kaaton ke maiddan mai
dil se nikala ye khoon jane kahan baha ja raha hai

bahata tha jahaj ye, leharo pe seena taan ke
jaane kyun aaj mera mann daldal mai dhansa ja raha hai
jeeta tha ye jahan apni kalpana ke gyan se
aaj bhavnao ka ye panchi pinjare mai fansa ja raha hai

khata kuch hamse hui ki zindagi humse khafa hui
ki glani ka ye dard ab is dil ko sata raha hai
gum ka badal kuch is tarah chaya, ki khushi sama se lapata hui
karah raha hai is kadar ye dil, ki ghav bahar bhi nazar aa raha hai

No comments: