bas mai aur meri tanhai,
aksar socha karte hai ,
Je yaar ki dikhe parchai
hum bas roya karte hai
beete waqt ki hasaiyan
te yaad dilaye judaiyan
un yaado ke aaye aasu
hum bas pocha karte hai
bas mai aur meri parchai
aksar socha karte hai
kabhi khush the har lamhe
kabhi hasi the woh nagme
ab sama-e-judai mai
hum tasveero ko piroya karte hai
bas mai aur meri tanhai
aksar socha karte hai
tamanna thi saath jeene ki
aarzoo thi amrat peene ki
ab gum ke hi zahar se
hum dil-e-zameen ko seencha karte hai
bas mai aur meri tanhai
aksar socha karte hai ...
sanjoye hue kwabo ke
parinde aaj rava hue
badlo ke sayo se
sitare hai khoye hue
us chand ko tod lane ke
hum kalpana banaye karte hai
bas mai aur meri tanhai
aksar socha karte hai …
samjhate hai hum , dil-e-pagal ko baar
nadan hai wah, uska tu hi bas sansaar
bade mushkilo jatan ke baad
hum use tujhse juda rakhte hai
bas mai aur meri tanhai
aksar socha karte hai
din-e-ujalo mai chaye andhera
andhere mai dikhe chand
khoye hue ki talaash
hum bebas hi kiya karte hai
bas mai aur meri tanhai
aksar socha karte hai
chattan-e-dil mai lagi jo aag
hua baraf bhi aaj raakh
shaant se is toofan ko
hum hass ke alvida kiya karte hai
bas mai aur meri tanhai
aksar socha karte hai …
Je yaar ki dikhe parchai
hum bas roya karte hai…
Bas mai aur meri tanhai…
No comments:
Post a Comment